Weight gain and muscles development
Hello friends main aaj aapko kuchh simple(asan) aur cheapest(sasta) food or nuts bataunga.jise aap apne diet(khane) main samil kar sakte hain.
Isme aapko kis kis food se or nuts se kitna protein milta hain. Vo batane wala hu main aaj jisse aapko achha information mile ga.
To chaliye shuru karte hain.
1. Curd ( dahi ) : dahi calcium ke sath sath protein se bharpur hoti hai or isme calories bhi kam hota hai ( protein= 17 gm protein in one cup)
2. Oats(daliya):- Isme fats kam hota hain. Lakin protein achhe matra main hota hain. Esse apka wajan maintain rahta hain.
(Protein= 17 gm in 100gm oats).
3. Rajma(beans):- Rajma(beans) tho protein ka sabse achha source hota hain. Esme aapko ek achhe matra main protein milta hain.
(Protein= 8gm in 1cup of boiled beans))
4. Soya bean: - Ye to sabhi log jante hain. Ki isme protein bharpur matra main paya jata hain. Or ye kafi asani se mil bhi jata hain.
(Protein= 36gm in 100gm)
5. Badam(almond):- Esme sabhi nuts se Jada or ache matra main protein ke sath-sath calcium air vitamins paye jate hain.
(Protein= 2.5gm in 100gm).
6. Peanuts(mugfaali) :- Esme protine sabse ache matra main milta hain. Aur ye kafi sasta bhi padta hain.
(Protein= 28gm in 100gm).
7. Eggs:- Ye to aap sabhi log jante ho ge. Aur ye bahut asani se mil bhi jata hain. Esme protein me sath-sath calcium, omega-3 aur amino acids bhi paya jata hain.
(Protein=6.28gm in 1 boiled egg).
8. Chickpea(chana):- isme protein to hi hain. Lakin eske sath-sath kai parkar ke vitamins or minerals bhi paye jate hain.
(Protine=20gm in 100gm).
9. Milk(dudh):- dudh main to protein hota hain. Lakin usme calcium, fats B6 aur B12 etc. Paya jata hain.
(Protein= 10gm in 250ml).
10. Chapaati(Roti):- Wase tho ye har logo ke ghar par asani se mil jata hain. Aur isme protein ke sath Faber , carbs bhi paya jata hain.
(Protein= 4gm in 1 roti).
11. Cheese:- cheese calcium ka ek acha source hone ke sath protein se bharpur bhi hota hain.
(Protein= 32gm in 1cup).
12. Kabuli chana:- kabuli chana protein ka acha source hota hain. Iska aata aap apne roj ke diet main samil kijiye.
(Protein= 21gm in 1cup).
13. Kaddu ke beej:- Vaise ek cup kaddu ke beej main ek egg se do guna protein hota hain. Aur sath hi isme iron aur zinc bhi bharpur matra main hota hain.
(Protein= 12gm in 1cup).
14. Banana(kela):- Esme protein ke sath-sath calcium,carbs,iron,potecium aur vitamins bhi paye laajata hain.
(Protein= 1gm in 1 banana ).
15. Brown bread(aata wala bread):- Esme protein aur carbs dono hi achhe matra main paya jata hain.
(Protein= 2 gm in one bread).
Dekhiye main protein ka level es liye bataya hu .Kyu ki esse muscles develop hota hain. Aur vajan bhi dheere dheere badhna shuru ho jata hain.
Thank you ,
Aapke pyar kai liye aur hamare post padhane kai liye aur main promise karta hu. Ki aage aur achhe cheeje aur health se relative post karta rahu ga taki aap sabhi healthy raho thank you.

Acha hai Ji
ReplyDelete